-
Hamzaqadri
My channel name Is Al kausar miled I information all Muslims community peoplesAnas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Jumaa ke din khutba de rahe they ki ek Sahabi khade huye aur kahne lage ki Ya Rasool-Allah Sal-Sallallahu Alaihi Wasallam Allah se dua farma dijiye ki hamarey liye barish baras jaye (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dua farma di) aasman par baadal cha gaye aur barish barasne lagi, ye haal ho gaya ki hamare liye ghar tak pahuchna mushkil tha, ye baarish agle juma tak hoti rahi phir wohi sahabi ya dusre sahabi agli jumaa ko khade huye aur farmaya ki Allah se dua kijiye baarish band kar de hum to dub gaye, Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua ki Eh Allah hamare charon taraf ki Bastiyon ko sairab kar aur hum par baarish band kar de aur baadal tukde hokar madine ke charon taraf bastiyon mein chala gaya aur madine walon par baarish ruk gayee - Sahih Bukhari, Vol7, 6342 Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya main qayamat ke din jannat ke darwaze par aaunga aur darwaza khulwaunga to jannat ka chokidar (andar se) puchega ki Aap kaun hain to main kahunga ki main Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam hu to wo kahega ki Aap hi ke liye mujhe hukm diya gaya tha ki aapse pahle kisi ke liye darwaza na kholna Sahih Muslim, Vol 1, 486
-
535 followers



