Kabhi hum mai tum mai b chah thi| poetry | changinghopesofficial

gogocooking
1 Views
Kabhi hum mai tum mai b chah thi poetry Woh jo hum mein’ tum mein’ qaraar tha, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho- Wahi yaani waada nibaah ka, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. Woh jo lutf mujh pe the peshtar, woh karam ke tha mere haal par- Mujhe sab hai yaad zara zara, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. woh naye gile woh shikaayatein’, woh maze maze ki hikaayatein- woh har aik baat pe roothna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. kabhi baithe sab mein’ jo ru-ba-ru, to ishaaraton’ se hi guftagu- woh bayaan shauq ka barmalaa, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. koi baat aisi agar hui, ke tumhare ji ko buri lagi- to bayaan’ se pehle hi bhoolna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. kabhi hum mein’ tum mein’ bhi chaah thi, kabhi hum se tum se bhi raah thi- kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. suno! zikr hai kai saal ka, ke kiya aap ne ek waadaa tha- so nibaahne ka to zikr kya, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. jise aap ginte the aashnaa, jise aap kehte the baawafaa- main’ wahi hun’ Momin’ mubtala, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho.. changinghopesofficial

Latest Videos

Partner Program Latest Videos Terms of Service About Us Copyright Cookie Privacy Contact