Mery Paas Sy Guzar Ker
#1
"Kabhi Thak K So Gaye Hum,
Kabhi Raat Bhar Na Soay,
Kabhi Hans K Gham Chupaya,
Kabhi Moon Chupa K Roay"
"MeriDastan-e-Hasrat Wo Suna Suna K Roay,
Mery Aazmaney Waley Mujhy Aazma K Roay"
"Shab-e-Gham Ki Aap Beeti Jo Sunai Anjuman Main,
Koi Sun K Muskuray Koi Muskura K Roay"
"Main Hoon Be'Watan Musafir Mera Naam
Be'Wafa Ha,
Mera Koi bhi Nahi Hai Jo Galay Laga K Roay,
Mery Paas Sy Guzar Ker Mera Haal Tak Na Poocha,
Main Yeh Kaisey Maan Jaon K Wo Door Ja K Roye,
Wo Miley Jo Raastey Main To Bas Itna Kehna Us Say,
Main Udaas Hoon Akela Mery Paas Aa K Roay.