Mai nara-e-mstana
maiñ na.ara-e-mastāna maiñ shoḳhī-e-rindāna
maiñ tishna kahāñ jā۔ūñ pī kar bhī kahāñ jaanā
maiñ tā.ir-e-lāhūtī maiñ jauhar-e-malakūtī
nāsūtī ne kab mujh ko is haal meñ pahchānā
maiñ soz-e-mohabbat huuñ maiñ ek qayāmat huuñ
maiñ ashk-e-nadāmat huuñ maiñ gauhar-e-yak-dāna