Main Aasmaan Pe Bahut Der Rah Nahin Sakta Waseem Barelvi poetry

poetryatpeak •
1 Views
Main aasmaan pe bahut der rah nahin sakta Magar ye baat zameen se to kah nahin sakta Kisi ke chehre ko kab tak nigaah mein rakhoon Safar mein ek hi manzar to reh nahin sakta Ye aazmaane ki fursat tujhe kabhi mil jaaye Main aankhon aankhon mein kya baat keh nahin sakta Sahaara lena hi padata hai mujh ko dariya ka Main ek qatara hoon tanha to beh nahi sakta Laga ke dekh le jo bhi hisaab aata ho Mujhe ghata ke wo ginati mein reh nahin sakta Ye chand lamhon ki be-ikhtiyariyaan hain ‘Waseem’ Gunah se rishta bahut der reh nahin sakta.

Latest Videos

Partner Program Latest Videos Terms of Service About Us Copyright Cookie Privacy Contact